Powered By Blogger

Monday, November 15, 2010

madhusaala by harivansh rai bacchan ji

mridu bhaavon ke angooron ki aaj bana laaya haala,
priyatam,apne hi haatho se aaj pilaaoonga pyaala,
pehle bhog laga loon tera phir prasaad jag paayega,
sabse pehle tera swaagat karti meri madhusaala. [1]
pyaas tujhe to vishw tapakar purna nikaloonga haala,
aake paaw se saaki bankar naachunga lekar pyaal ,
jeevan ki madhuta to tere ooper kab ka vaar chuka ,
aal nichawar kar doonga mai tujh per jag ki madhusaala. [2]

priytam,tu meri haala hai,mai tera pyaasa pyaala,

apne ko mujhme bharkar tu banta hai peenewala,

main tujhko chal-chalka kartamast mujhe tu pee tu hota,

ake doosare ki hum dono aaj parasper madhusaala. [3]

bhaavookta angoor lata se khinch kalpana ki haala,

kavi saaki banka aaya hai bharkar kavita ka pyaala,

kabhi na kan-bhar khali hoga laakh piye ,dolaakh piye!

paathkgan hain peenewale,pushtak meri madhusaala. [4]

madhur bhaavnao ki sumadhurta nitya banata hoon haala,
bharta hoon is madhu se apne antar ka pyaasa pyaala,
utha kalpana ke bahoon se swyam use pee jata hoon,
apne hi main hoon mai saaki,peenewala,madhusaala. [5]
madiralay jane ko ghar se chalta hai peenewala,
"kis path se jaoon?"asmanjas me hai wah bhola-bhala,
alag-alag path batalate sab per mai yah batalata hoon,
raah pakad tu ake chala-chal,paa jayega madhusaala. [6]
chalne hi chalne me kitna jeevan,haay,bita daala!
"door abhi hai "per,kehta hai her path batlanewala,
himmat hai na badhu aage ki saahas hai na phiroon peeche,
kinkartavyavimoodh mujhe kar door khadi hai madhusaala. [7]
mukh se tu avirt kehta ja madhu,madira,maadak haala,
haatho me anubhav karta jaa ake lalit kalpit pyaala,
dhyaan kiye jaa man me sumadhur sukhkar,sundar saaki ka,
aur badha chal,pathik na tujhko door lagegi madhusaala. [8 ]
madira peene ki abhilasa hi ban jaye ab haala,
adharon ki aaturta me hi jab aabhasit ho pyaala,
bane dhyaan hi karte-karte jab saaki saakar,sakhe,
rahe na haala,pyaala,saaki,tujhe milegi madhusaala. [9]
sun kal-kal, chal-chal madhghat se girti pyaalo me haala,
sun, run-jhun, run-jhun chal vitran karti madhu saakibaala,
bas aa pahuche , door nahi kuch, chaar kadam ab chalna hai,
chahak rahe ,sun, peenewale, mahak rahi,le ,madhusaala. [10]

Saturday, August 8, 2009

vikasthought

hi i m vikas . And i will like to tell to whole world that i am a common boy but i will be famous in whole world .soon.